Khamosh in tanhaiyon me Ek halki si muskan ki tarah
Barishon ke baad, jo chu le tan ko bheege pad ki us daali ki tarah
Tapti dopehri me achanak chane wale us barish ke kaale badal ki tarah
Tumhari har baat , tumharihar yaad
Kuch ehsaas yun dilati hai…
Barsaat ki ho wo barish pehli ya ho dhun us neher ki surili
Sardiyon ki subha me khili hui dhoop ya khoobsoorat palken, sharm se jo jhuki
Samandar kinare, kadmon par tutne wala wo ek leher
ya barf se sani deodar ki wo ek daali,
dilon me sihran si chale ,jaise ho har yaad pehli pehli
Tumhari har baat tumhari har yaad
Kuch ehsaas yun dilat hai…
Kisi ki aankhon se gira wo keemti aansu,
aise sambhal kar rakha hai tukda who kaagaz ka,
jispar yun hi likha tha kabhi naam tumhara,
thodi us burai k liye or thodin us bhalai ke liye,
mile jo aansu aur mili jo hasi kabhi
kitaab me us gul ki tarah sahej hai ab bhi…
khusboo na ho bhale usme, rang magar gehra ho gaya jiska
Har baat honton par muskaan le aati hai,
Tumhari har baat, tumhari har yaad
Kuch ehsaas yun dilati hai….
this is better than the other Nov 29th one, cos though it has pain within, its woven around by the content of remembrance beautifully.
ReplyDelete